9th august 2009
Jabse bhojpuri devigeet se ,pachra se parichay hui hai,tabse mata vindhyvasini se bhi parichay hamari hui hai.lekin peechhle 7 saalon se mai chahte hue bhi mata se rubaroo nahi ho paa rahi thi.har saal hame mandir se jure byakti se phone calls bhi aate the.lekin kuch ban nahi raha tha.shayad bohot log hamse naraaz bhi ho gaye honge.mera personally manna hai ki ye hamari hi durbhagya hai ki hum matarani ke darshan se vanchit rahe.halaki manme unhe hamesha yaad karti thi,aur ekbaar mai aisi musibat me thi ki mata rani ne hi hume us musibat se nikala.tabse tamanna aur badh gayi thi mata se milne ke liye,lekin ye hum unhi pe chhor diye the.
Har saal ki tarah phone aaya is saal bhi,koi pankaj ji ne phone kia.bolne lage maa ki janm Din yani 9 august 2009 ko jagran karana chahte hai,aapki upasthiti chahiye.pankaj ji ne apna parichay is tarah se dia ke wo cassatte ke dealer hai aur hamari an bhi.mujhe didi kahke sambodhan karte hue kaha ki aapko yahan ekbaar aana hi chahiye.pata nahi isbaar dilse ek aawaaz aayi ki mata ne bulaya hai,mujhe jana hi hoga.humne vachan dia pankaj ji ko hum aa rahe hai,mata ki darshan ke liye,hame kuch bhi parishramik nahi chahiye,meri kya aukaat mai vindhyachal ki maiyya se parishramik lu.matarani ne bin kahe hi mujhe bohot kuch diya hai.hum taiyyari karne lage jaane ke liye. kyonki mujhe baarish me flight se aana jaana dar lagta hai isliye humne train se jaane ka man bandha.
7 august 2009,9.30 baje dadar station se humne 1st AC ke cabin me safar ki shuruwaat ki.train me hum khub soye,kyonki Mumbai me sone nahi milta.8nd august 9.30pm hum allahabaad pahunche.do young bande,imraan aur pankaj hame lene aaye.

No comments:
Post a Comment