Friday, June 19, 2015

'Birha' - traditional folk of Utter Pradesh.

                   


Utter Pradesh ke ek varg visesh dwara gaya jane vala lok sangeet Biraha hamesha se hi hindi patti samaj ke vibhinn vargo me lokpriya rha hai ..

Utter Pradesh me is vidha par abhi tak na keval Yadav samaj ka ekadhikar rha hai, balki is par hamesha se hi purush kanth ka adhipataya bhi rha hai..


kaha jata hai yadi deevare nahi girati to samya aur kal ki pragati ruk jati hai….kya ekadhikarvadi deevar ke beech jakda yeh mashoor lok gayan apni pragati ki sahi manjil tak abhi pahunch paya hai??

yeh ek saval hai jise hum un sabhi longon ko karna chahiye jo apni mati aur apne lok sangeet se pyar karte hain... Assam ki dharti se aakar hindi patti ke tamam dilo par raj karane vali mashoor singar Kalpana Patowary ka “Biraha” MTV@CokeStudio Season 4……pragati ke band pade rasto ke beech ek aisa hi krantikari kadam hai jo ekadhikarvadi deevaro ko dhahate hue behad sadhe hue nari swar ke sath biraha lok gayan ko ek nai unchai tak pahuchane ki ek safal koshish hai..

vartman yug me janha badalte vaqt ke sath birha lokgayan ke chand- anuprash itayadi lagatar gayab hote ja rahe hain vanha Kalpana Patowary dwara is mamle me puri mehnat v sodh ke sath khadi birha ko apne sadhe hue kanth se MTV@CokeStudio Season 4 ke madhayam se internatinol star tak pahuchane ki koshish karna khud me na kewal sarahneeya prayas hai balki is lokgayan ke liye meel ke patthar ke roop me sthapit hote hue bhavishya ke liye ek sukhad sanket de rha hai.....



@tradishivendra prakash dwivedi..

No comments: